बुधवार, २४ ऑक्टोबर, २०१२

Jai jai Bhim Lyrics


Jai Jai Bhim Lyrics - Shudra: The Rising (2012)

Movie/Album:Shudra: The Rising (2012)
Singers:Rani HazarikaJaan Nissar Lone
Song Lyricists:Shiv Sagar Singh
Song Type/Mood:Other
Music Composer:Jaan Nissar Lone
Song Duration:05:13
Music Director:Jaan Nissar Lone
Director:Sanjiv Jaiswal
Starring:Kirran Sharad, Praveen Baby
Release on:19th July, 2012
Producer:Sanjiv Jaiswal

Jai Jai Bhim Song Lyrics

Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Mukh teez ravi sa saajhe re
Ke vaani singh si laage re
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Mukh teez ravi sa saajhe re
Ke vaani singh si laage re
Gaon gaon aur gali gali mein
Jiska danka baaje re
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Daliton ke utthan ko le kar
Raha jo sabse aage
Lada akele duniya se woh
Sukh dukh apna tyaage
Aankhon mein samta ki jwaala ho…
Aankhon mein samta ki jwaala
Hothon pe taaleem
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Laas jyot ki chaudah san
Atharah sau ikyannabe
Ek maseeha janma tha
M.p. Ke mhow gaon mein
Laas jyot ki chaudah san
Atharah sau ikyannabe
Ek maseeha janma tha
M.p. Ke mhow gaon mein
Thi dhanya woh maa ki kokh
Ki jis se aisa laal bhi jaage
Jaati paati ki jad ko jisne
Rakh dala hilaa ke
Tujh sa pitaa ho jiska
Ho na kabhi yateem
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Aankh pe kala chashma sohe
Haath mein unke pothi
Likh ke sanvidhaan jalaai
Loktantra ki jyoti
Aankh pe kala chashma sohe
Haath mein unke pothi
Likh ke sanvidhaan jalaai
Loktantra ki jyoti
Dil mein aaj bhi jan-jan ke
Yeh bharat ratna viraaje
Karte hain aabhar prakat hum
Charan dhool ek maathe
Dev tulya tha aadam roop mein
Woh tha maha maheem
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Divya prabha ratna tu
Saadhu vardaan tu
Atya tu vibhooshak
Bhim raja hai tu
Sakal vidyapati
Gyan satsang ki
Shastra sa sanghamati
Budhdha teja hai tu
Pankaja narvara
Rakta sajan urddhara
Bhagwan ka muchakra
Bhakt data hai tu
Disha heen garton ko tune
Budhdha ki raah dikhaai
Diksha bhoomi nagpur mein
Diksha unhein dilaai
Disha heen garton ko tune
Budhdha ki raah dikhaai
Diksha bhoomi nagpur mein
Diksha unhein dilaai
Itne hain upkaar tumhaare
Koi kaise baanche
Chavdar sarovar aur maahad ka
Paani piya ujaa ke
Shudron ko astitva mile
Rang laayi teri muheem
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim
Jai jai bhim baba jai jai bhim.

1 टिप्पणी: